Tuesday, May 11, 2010

Umeed




muflisi ke andheron se sehmkar umeed ne jab dum toda

to uske janaze pe kambakht mukaddar ke fikron ne mere wazood ko is kadar jhakjoda....


Ki meri khudaari ne ankhon ki bebasi ko aansoo bankar na chalkane diya

mukaddas rooh ki himmat ne diya bankar un andheron ko phir roshan kiya...


honsle ke josh ne naaumeedi ki laash ko phir jeene ki khwahish de di..

us purjosh jazbe ne chaar kaandhon se uth kar ,apne dum par manjil pane ki kabliyat baksh di ...


ab chal pada hai yeh shaksh us umeed ki mashaal liye inqlab ke safar par.

choot gaye majbooriyan , marasim sab, manzil-e-aaftab ki is dagar par...


bhatke baashinde ko jaise mila ho jungle se sadak ko milati ek pagdandi ka saath...

mila hai maksad mere past junoon ko,is paaidaar daryaft ke baad.....

**************************************************************

Nancyyyyy
Words And Meanings for readers:
muflisi- adversity
fikron- taunts
khudaari- self respect
mukaddas-pious, pure
marasim- relation
manzil-e-aftab- destination is reaching the sky
baashinda- person
past- defeated
paaidaar-eternal
daryaft-revelation















3 comments:

  1. This blog is literally exuding hope in the atmosphere. Thank you for it and gr8 going !

    ReplyDelete
  2. Good one .. waise i am bad in language so without the small glossary given by you ,it would have been difficult for me .

    Great going.. keep flying with bright colors

    ReplyDelete
  3. anni shail!!!!!!!

    ReplyDelete